Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Alphabatically ....Asha`ar likhein

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

    yeh na thi hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota
    agar aur jeetey rehtey yehi intizaar hota
    terey waadey per jiyey ham to yeh jaan jhoot jana
    keh khushi sey mar na jaatey agar aetbaar hota
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

      Hay k baad humza aata hai yay nahi :p


      Alif say

      Itna tasalsul to meri saanso ma bhi nahi faaraaz
      Jis rawaani say mujhy wo shakhs yaad aata hai

      Comment


      • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

        Originally posted by cleopatra View Post
        Hay k baad humza aata hai yay nahi :p


        Hamza talaab per nahaney geya huwa hai :D

        Bey sey

        Baqadr-e-shauq iqraar-e-wafa kya
        hamarey shauq ki hai intiha kya
        muhabbat ka yehi sab shughal thehra
        to phir aah-e-rasaa kya na'rasaa kya
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

          Hamza talaab per nahaney geya huwa hai :D
          kab aay ga wo ? :p



          Pahlay aawaara mizaaji raaas aai phir humain
          Shair kahna , shab ga'ay tk jaagna acha lagaa

          Comment


          • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

            Originally posted by cleopatra View Post

            kab aay ga wo ? :p
            Uska lamba nahaney ka program hai aaj hai :D

            tam'heed-e-sitam aur hai takmeel-e-jafa aur
            chakhney ka mazza aur hai peeney ka mazza aur
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

              thaani thi dil mein ab na milein gey kisi sey ham
              par kya karey keh ho gaey na'chaar jii sey ham

              :D

              Comment


              • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                sabbat-e-zindagi eeman-e-mohkam sey hai duniya mein
                keh almaani sey bhi paiindah'tar nikla hai toorani
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                  Jo loog pochtay hain kio surkh hain aankhain
                  To aankh mal kay kahta hon raat so na saka
                  Hazaar chahon lakin yay na kah sakon ga kabhi
                  Kay raat roonay ki khawahish thi aur ro na saka
                  Last edited by cleopatra; 7 October 2011, 17:57.

                  Comment


                  • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                    Chahat ka ik meetha meetha dard jaganey shaam dhaley
                    teri yaadein aa jaati hain mujhey rulaaney shaam dhaley
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                      Haadson ki zad mai hain kiya to muskuran choor dain
                      Zalzalo kay khouf say kiya gher banana choor dain
                      Tum nay to mery pas na aanay ki thaan li hai tou
                      Aaanso'on say bhi kaho aankhon mai aana chor dain

                      Comment


                      • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                        خاموش ہو کیوں دادٍ جفا کیوں نہیں دیتے
                        بسمل ہو تو قاتل کو دعا کیوں نہیں دیتے
                        اٍک یہ بھی تو اندازٍ علاجٍ غمٍ جان ہے
                        اے چارہ گرو درد بڑھا کیوں نہیں دیتے
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                          Dilbari kay tery charchy jabaja mainy sunay
                          Tu mera dilbar nahi To phir ha tu kis k liay
                          Zindagi ma tu nahi to aarzoo kis k liay
                          Yay mohabbat kis liay justuju kis k liay

                          Comment


                          • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                            ڈر کے کسی سے چھپ جاتا ہے جیسے سانپ خزانے میں
                            زر کے زور سے زندہ ہیں سب خاک کے اس ویرانے میں
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                              Zillat-E-Tanhai Sey Ghabra Ke Aai Hon
                              Mein Abhi Abhi Shehr-E-Wafa Sey Aai Hon
                              Kuch Dair Hawa Ko Baaton Me Lagaye Rakhna
                              Main Ghar Me Ik Charagh Jala Ke Aai Hon

                              Comment


                              • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                                رنگ منت کشِ آواز نہیں
                                گل بھی ہے ایک نوا غور سے سُن
                                خامشی حاصلِ موسیقی ہے
                                نغمہ ہے نغمہ نما غور سے سُن
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X